Video of song on Youtube (URL)
Lyrics of song “Dekho Na” from movie “Swades”:
Alka:
Umm..hmm hmm hmm
Umm..hmm dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka
Suno zara, suno zara, kehti hai raat kya
Udit:
Raat hai leke aayi, kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane, sunta hoon main
Raat ne li angdaai, anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti chunta hoon main
Tumne, ye kya keh diya
Meri aankhon mein diye hai jaise jal gaye
Tumne ye kya keh diya
Meri raaton ke andhere jaise dhhal gaye
Alka:
Tumse hi toh milke maine jaana hai
Sapne kya hote hain ho
Tumse hi toh milke maine jaana hai
Dil kaise kho-te hain oh..
Udit:
Chaandni se pyaari mujhko, in palkon ki chhaaon
Tumne basaaya mere dil mein, ik sapnon ka gaaon
Alka:
Tumne mujhko chaaha toh
Mausam rang chhalkaata hai
Har pal jee ab gaata hai mere liye
Udit:
Tumne mujhko chaaha toh
Jeevan ki saari raahein
Khole hain apni baahein mere liye
Alka:
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Udit:
Hmm tum bin din sune the raatein suni thi
Viraani thi chhaayi oh
Ab jaise din chamke raatein mehki hai
Tum ho jo hamraahi oh
Alka:
Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hoon main
Tumko paake jag paaya hai
Par khud kho gayi hoon main
Udit:
Ham dono ne ab jaana, jeene ka matlab kya hai
Alka:
Pehle kya thi ab kya hai, ye zindagi
Udit:
Ham dono ne ab jaana, duniya kitni pyaari hai
Alka:
Paayi kitni saari hai, hamne khushi
Udit:
Dekho na, zara dekho na
Tum ho main hoon aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na, zara dekho na
Kaisi narm si ye parchhaaiyaan hai
Alka:
Suno zara, suno zara, dhadkanon ki sada
Suno zara, suno zara, geet khaamoshi ka
Suno zara, suno zara, kehti hai raat kya
—————
Movie Information:
Movie Name: Swades
Year of release: 2004
Director: Ashutosh Gowariker
Producer: Ashutosh Gowariker
Written by: Ashutosh Gowariker, M.G. Sathya, K.P.Saxena
Music: A R Rehman
Lyricist: Javed Akhtar
Costumes: Bhanu Athaiya
Editing: Ballu Saluja
Starring: Shahrukh Khan, Gayatri Joshi, Kishori Balal
Singer: Alka Yagnik, Udit Narayan
