Lyrics of title song from movie “Maine Pyar Kiya”:
Dil deke darde mohabbat liya hai
Soch samajh ke ye sauda kiya hai
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..
Dil deke darde mohabbat liya hai
Soch samajh ke ye sauda kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..
Pehle pahal jab usay maine dekha
Vo ban gayi meri kismat ki rekha
Khabar kya thi ye baat itni badhegi
Mohaabat mein mahnat bhi karni padegi
Dilwaale mahnat se darte nahin hai
Darte hain vo pyaar karte nahin hai
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..
Duniya ki daulat thukra chuka hoon
Zulfon ki chhaaon mein aakar ruka hoon
Ye chhaaon meri hai meri rahegi
Jo main kahoonga vo duniya kahegi
Ye chaand sooraj bhi chhodein chamakna
Mushkil hain mere iraade badalna
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O..
Main teri dil tera ye jaan teri
Tera mohabbat hai pehchaan meri
Main aaj kehti hoon ye sabke aage
Ek din main keh doongi ye rab ke aage
Tujhko hi bigde banana padega
Bichhde huey dil milana padega
Maine O maine ki maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
O ..
Dil deke darde mohabbat liya hai
Soch samajh ke ye sauda kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Maine pyaar kiya pyaar kiya pyaar kiya hai
Movie Information:
Name: Maine Pyaar Kiya
Year: 1989
Director: Sooraj Barjatya
Produced by: Rajshree Pictures
Written by: SM Ahale
Music Director: Ram Laxman
Singer: Lata Mangeshkar, S.P Balasubramaniam
Cast: Salman Khan, Bhagyashree, Mohnish Behl, Alok Nath, Reema Lagoo, Laxmikant Berde
Lyrics of song “Kabootar Ja Ja” from movie “Maine Pyar Kiya”:
Ja Ja
Ja Ja
Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Pehle Pyaar Ki Pehli Chitthi
O O Pehle Pyaar Ki Pehli Chitthi Saajan Ko De Aa
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Unse Kehna Jabse Gaye Tum Main To Adhuri Lagti Hoon
In Honthon Pe Chup Si Lagi Hai Na Roti Na Hansti Hoon
Bhool Hui Jo Unhein Sataaya
O O Bhool Hui Jo Unhein Sataaya Aisa Paap Kiya
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Ja Ja
Mann Hi Mann Mein Unko Apna Sab Kuchh Maan Chuki Hoon Main
Vo Kya Hain Main Kaun Hoon Unki Ab Ye Jaan Chuki Hoon Main
Unko Apne Saath Hi Laana
O O Unko Apne Saath Hi Laana Dil Hi Nahin Lagta
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Ja Ja
Oh Oh….
Yahan Ka Mausam Bada Haseen Hai Phir Bhi Pyaar Udaas Hai
Unse Kehna Door Sahi Main Dil To Unhi Ke Paas Hai
Tu Ye Sandesa Unko Sunaana
O O Tu Ye Sandesa Unko Sunaana Main Peechhe Aaya
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Kabootar Ja Ja Ja
Ah Aah….
Jahaan Bhi Dekhoon Tum Hi Tum Ho Aur Nazar Na Kuchh Aaye
Dil Ye Chaahe Is Aalam Mein Kaash Zamaana Ruk Jaaye
Aaj Se Pehle Kabhi Nahin Thi
Aaj Se Pehle Kabhi Nahin Thi Itni Haseen Duniya
Movie Information:
Name: Maine Pyaar Kiya
Year: 1989
Director: Sooraj Barjatya
Produced by: Rajshree Pictures
Written by: SM Ahale
Music Director: Ram Laxman
Singer: Lata Mangeshkar
Cast: Salman Khan, Bhagyashree, Mohnish Behl, Alok Nath, Reema Lagoo, Laxmikant Berde
Lyrics of song “Dil Deewan Bin Sajani Ke” from movie “Maine Pyar Kiya”:
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Dhak dhak bole it ut dole
Din raina
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Duniya maange apni muraadein main to maangoon saajan
Duniya maange apni muraadein main to maangoon saajan
Rahe salaamat mera sajna aur sajna ka aangan
Iske siva dil rab se kuchh bhi chaahe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Jee ye chaahe banake aanchal tumko lapetoon tan pe
Jee ye chaahe banake aanchal tumko lapetoon tan pe
Kabhi ye sochoon main ud jaoon tumko liye gagan pe
Aur bhi kuchh hain dil ke iraade kya kehna
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na
Dil deewana bin sajna ke
Maane na
Ye pagla hai samjhaane se
Samjhe na .
Movie Information:
Name: Maine Pyaar Kiya
Year: 1989
Director: Sooraj Barjatya
Produced by: Rajshree Pictures
Written by: SM Ahale
Music Director: Ram Laxman
Singer: S.P Balasubramaniam, Lata Mangeshkar
Cast: Salman Khan, Bhagyashree, Mohnish Behl, Alok Nath, Reema Lagoo, Laxmikant Berde